jin ki tabir na ho KHwab wo aane se rahe
jin kī ta.abīr na ho ḳhvāb vo aane se rahe
ye azaab ab to ham āñkhoñ meñ basāne se rahe
khol hī leñge fasīloñ meñ na.e dar ham log
laakh mahbūs sahī vaqt gañvāne se rahe
ahl-e-pindār haiñ daryūza-garī kab hai qubūl
bhiik lene ko kisī dar pe to jaane se rahe
ek din qaid-e-qafas toḌ ke uḌ jā.eñge
qaid meñ rah ke abas shor machāne se rahe
jaag uTThe haiñ to ab jāgte rahnā hai hameñ
jāgtī āñkhoñ meñ ab ḳhvāb sajāne se rahe
daur-e-māzī ke ka.ī zaḳhm abhī taaza haiñ
ab koī dariyā nayā dil meñ basāne se rahe
is talātum meñ bhī dhāroñ ko nayā ruḳh deñge
lahr ke dosh pe ham ḳhud ko bahāne se rahe
kuchh 'ayāñ' ham bhī to pindār-e-vafā rakhte haiñ
be-sabab rūThne vāloñ ko manāne se rahe
jin ki tabir na ho KHwab wo aane se rahe
ye azab ab to hum aankhon mein basane se rahe
khol hi lenge fasilon mein nae dar hum log
lakh mahbus sahi waqt ganwane se rahe
ahl-e-pindar hain daryuza-gari kab hai qubul
bhik lene ko kisi dar pe to jaane se rahe
ek din qaid-e-qafas toD ke uD jaenge
qaid mein rah ke abas shor machane se rahe
jag uTThe hain to ab jagte rahna hai hamein
jagti aankhon mein ab KHwab sajaane se rahe
daur-e-mazi ke kai zaKHm abhi taza hain
ab koi dariya naya dil mein basane se rahe
is talatum mein bhi dhaaron ko naya ruKH denge
lahr ke dosh pe hum KHud ko bahane se rahe
kuchh 'ayan' hum bhi to pindar-e-wafa rakhte hain
be-sabab ruThne walon ko manane se rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.