jin ki tinat mein khusrawi hogi
jin kī tīnat meñ khusravī hogī
ḳhud-sarī un meñ lāzmī hogī
tīrgī ko hisār meñ rakhiye
tīrgī se hī raushnī hogī
maiñ ko dil se nikāliye varna
ilm hogā na āgahī hogī
jabr-e-dil iḳhtiyār kar pahle
zindagī phir ye zindagī hogī
jis meñ insān devtā hogā
vo koī aur hī sadī hogī
justujū-e-'ziyā' na ho jab tak
chāñd hogā na chāñdnī hogī
jin ki tinat mein khusrawi hogi
KHud-sari un mein lazmi hogi
tirgi ko hisar mein rakhiye
tirgi se hi raushni hogi
main ko dil se nikaliye warna
ilm hoga na aagahi hogi
jabr-e-dil iKHtiyar kar pahle
zindagi phir ye zindagi hogi
jis mein insan dewta hoga
wo koi aur hi sadi hogi
justuju-e-'ziya' na ho jab tak
chand hoga na chandni hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.