jinko bhule hue zamana hua
jin ko bhūle hue zamāna huā
un ke ghar phir se aanā jaanā huā
zarf ne toḌā 'āshiqī kā bharam
ḳhatm ik pal meñ dostāna huā
tum jo aa.e to chāñd niklā hai
aur mausam bhī 'āshiqāna huā
phir use hosh kis tarah aa.e
terī nazroñ kā jo nishāna huā
she'r kahne lage jo mastī meñ
apnā andāz sūfiyāna huā
dasht-o-sahrā chaman na kūcha-e-yār
'āshiqoñ kā kahāñ Thikāna huā
kyoñ 'vajāhat' kareñ kisī se gila
ham ko rusvā hue zamāna huā
jin ko bhule hue zamana hua
un ke ghar phir se aana jaana hua
zarf ne toDa 'ashiqi ka bharam
KHatm ek pal mein dostana hua
tum jo aae to chand nikla hai
aur mausam bhi 'ashiqana hua
phir use hosh kis tarah aae
teri nazron ka jo nishana hua
she'r kahne lage jo masti mein
apna andaz sufiyana hua
dasht-o-sahra chaman na kucha-e-yar
'ashiqon ka kahan Thikana hua
kyon 'wajahat' karen kisi se gila
hum ko ruswa hue zamana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.