jinko malum nahin pir-parai kya hai
jin ko ma.alūm nahīñ pīr-parā.ī kyā hai
ḳhaak samjheñge mohabbat meñ judā.ī kyā hai
chand ḳhat aur ka.ī sūkhe hue gul-daste
ek āshiq ko bhalā aur kamā.ī kyā hai
ham to donoñ hī amīroñ kī tarah dete haiñ
ham faqīroñ ko duā aur duhā.ī kyā hai
bā-ḳhudā ham se mohabbat ke marīzoñ ke liye
un ke dīdār se behtar bhī davā.ī kyā hai
naam sunte hī mohabbat kā ḳhudā yaad aaya
tum ne bhī merī tarah ḳhuub nibhā.ī kyā hai
jin ko malum nahin pir-parai kya hai
KHak samjhenge mohabbat mein judai kya hai
chand KHat aur kai sukhe hue gul-daste
ek aashiq ko bhala aur kamai kya hai
hum to donon hi amiron ki tarah dete hain
hum faqiron ko dua aur duhai kya hai
ba-KHuda hum se mohabbat ke marizon ke liye
un ke didar se behtar bhi dawai kya hai
nam sunte hi mohabbat ka KHuda yaad aaya
tum ne bhi meri tarah KHub nibhai kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.