jin laghzishon ke dahr mein jhanDe buland hain
jin laġhzishoñ ke dahr meñ jhanDe buland haiñ
aivān-e-zindagī ke vahī naqsh-band haiñ
be-sā.egī ne ham ko banāyā hai tez-gām
ham log sūkhe peḌoñ ke ehsānmand haiñ
lafzoñ ke qaht hī kī navāzish kaheñ use
tābūt-e-zehn meñ jo ḳhayālāt band haiñ
tū apnā maal pahle harīsoñ meñ baañT de
kyā hai hamārā ham to qanā.at-pasand haiñ
is qaid hī meñ vus.at-e-donoñ-jahāñ milī
ye soch kar hī aaj bhī ham ḳhud meñ band haiñ
jin laghzishon ke dahr mein jhanDe buland hain
aiwan-e-zindagi ke wahi naqsh-band hain
be-saegi ne hum ko banaya hai tez-gam
hum log sukhe peDon ke ehsanmand hain
lafzon ke qaht hi ki nawazish kahen use
tabut-e-zehn mein jo KHayalat band hain
tu apna mal pahle harison mein banT de
kya hai hamara hum to qanaat-pasand hain
is qaid hi mein wusat-e-donon-jahan mili
ye soch kar hi aaj bhi hum KHud mein band hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.