jin mein kuchh lutf aur andaz-e-karam bhi kuchh hain
jin mein kuchh lutf aur andaz-e-karam bhi kuchh hain
Fazal Husain Sabir
MORE BYFazal Husain Sabir
jin meñ kuchh lutf aur andāz-e-karam bhī kuchh haiñ
tum hī insāf se kah do sitam bhī kuchh haiñ
naaz tum ko hai jafā par to vafā par ham ko
tum agar kuchh ho mirī jaan to ham bhī kuchh haiñ
un kā ye qaul mire marne se kyā hotā hai
mujh ko da.avā hai mire dīda-e-nam bhī kuchh haiñ
jis ko dekho hai vahī banda-e-be-dām un kā
ai ḳhudā terī ḳhudā.ī meñ sanam bhī kuchh haiñ
hai abhī raah se guzrā koī maanā lekin
baat hī baat hai yā naqsh-e-qadam bhī kuchh haiñ
charḳh ke daur meñ yaksāñ nahīñ rahtā koī
rāhateñ thiiñ jinheñ kal tak unheñ ġham bhī kuchh haiñ
Turfa-tar hai tire maqtal kā tamāsha qātil
kuchh taḌapte haiñ tah-e-teġh-e-do-dam bhī kuchh haiñ
ḳhāna-e-dil meñ mire daulat-e-ulfat ke sivā
dāġh-hā-e-shab-e-furqat ke diram bhī kuchh haiñ
kuchh nahīñ kuchh nahīñ ai hazrat-e-'sābir' vo log
apne dil meñ jo samajhte haiñ ki ham bhī kuchh haiñ
jin mein kuchh lutf aur andaz-e-karam bhi kuchh hain
tum hi insaf se kah do sitam bhi kuchh hain
naz tum ko hai jafa par to wafa par hum ko
tum agar kuchh ho meri jaan to hum bhi kuchh hain
un ka ye qaul mere marne se kya hota hai
mujh ko dawa hai mere dida-e-nam bhi kuchh hain
jis ko dekho hai wahi banda-e-be-dam un ka
ai KHuda teri KHudai mein sanam bhi kuchh hain
hai abhi rah se guzra koi mana lekin
baat hi baat hai ya naqsh-e-qadam bhi kuchh hain
charKH ke daur mein yaksan nahin rahta koi
rahaten thin jinhen kal tak unhen gham bhi kuchh hain
Turfa-tar hai tere maqtal ka tamasha qatil
kuchh taDapte hain tah-e-tegh-e-do-dam bhi kuchh hain
KHana-e-dil mein mere daulat-e-ulfat ke siwa
dagh-ha-e-shab-e-furqat ke diram bhi kuchh hain
kuchh nahin kuchh nahin ai hazrat-e-'sabir' wo log
apne dil mein jo samajhte hain ki hum bhi kuchh hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.