jin se ishaare chashm-e-fusun-gar ke ho gae
jin se ishāre chashm-e-fusūñ-gar ke ho ga.e
vo dekhte hī dekhte patthar ke ho ga.e
parvā nahīñ jo saikḌoñ ke sar ke ho ga.e
kuchh imtihān teġh-e-sitam-gar ke ho ga.e
hasrat se dekhte rahe saaqī kī ham nigāh
mahfil meñ daur saikḌoñ sāġhar ke ho ga.e
hoñToñ ko chuum letā hai us mast-e-nāz ke
saaqī ye hausle tire sāġhar ke ho ga.e
kuchh ban paḌā javāb na mere savāl kā
chup sāmne vo dāvar-e-mahshar ke ho ga.e
TukḌe huā to TuuT paḌī har nigāh-e-shoḳh
hisse hazār is dil-e-muztar ke ho ga.e
sadqe shab-e-visāl ke uThtī nahīñ nigāh
sab sehr ḳhatm chashm-e-fusūñ-gar ke ho ga.e
bas ye huā ki hashr meñ ik gard sī uThī
sab fitne un kī ek hī Thokar ke ho ga.e
kyā jaane koī 'āshiq-o-mā'shūq kī adā
shikve bhī ho ga.e to barābar ke ho ga.e
jin se ishaare chashm-e-fusun-gar ke ho gae
wo dekhte hi dekhte patthar ke ho gae
parwa nahin jo saikDon ke sar ke ho gae
kuchh imtihan tegh-e-sitam-gar ke ho gae
hasrat se dekhte rahe saqi ki hum nigah
mahfil mein daur saikDon saghar ke ho gae
honTon ko chum leta hai us mast-e-naz ke
saqi ye hausle tere saghar ke ho gae
kuchh ban paDa jawab na mere sawal ka
chup samne wo dawar-e-mahshar ke ho gae
TukDe hua to TuT paDi har nigah-e-shoKH
hisse hazar is dil-e-muztar ke ho gae
sadqe shab-e-visal ke uThti nahin nigah
sab sehr KHatm chashm-e-fusun-gar ke ho gae
bas ye hua ki hashr mein ek gard si uThi
sab fitne un ki ek hi Thokar ke ho gae
kya jaane koi 'ashiq-o-ma'shuq ki ada
shikwe bhi ho gae to barabar ke ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.