jinhen hum kah nahin pae wo baaten yaad aati hain
jinheñ ham kah nahīñ paa.e vo bāteñ yaad aatī haiñ
guzashta nā-mulāqātoñ kī yādeñ yaad aatī haiñ
kabhī vīrān rastoñ par kabhī tanhā.ī kī chup meñ
vo chehra baat kartā hai vo āñkheñ yaad aatī haiñ
kabhī aa.e nahīñ vo din jo aksar saath chalte haiñ
guzārī jo nahīñ ham ne vo rāteñ yaad aatī haiñ
jahāñ rakkhā nahīñ paañv vo rasta saath chaltā hai
jinheñ sochā nahīñ dil ne vo rāheñ yaad aatī haiñ
jinhen hum kah nahin pae wo baaten yaad aati hain
guzashta na-mulaqaton ki yaaden yaad aati hain
kabhi viran raston par kabhi tanhai ki chup mein
wo chehra baat karta hai wo aankhen yaad aati hain
kabhi aae nahin wo din jo aksar sath chalte hain
guzari jo nahin hum ne wo raaten yaad aati hain
jahan rakkha nahin panw wo rasta sath chalta hai
jinhen socha nahin dil ne wo rahen yaad aati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.