jinhen hum man baiThe the hamare
jinheñ ham maan baiThe the hamāre
vo dushman ban ga.e saare ke saare
baḌā majbūr hai ye ibn-e-ādam
zamīñ par arsh se kis ko utāre
nazar aatī nahīñ ab jin kī sūrat
kahāñ haiñ vo mire dilbar dulāre
usī ne mujh ko uljhā.e rakhā hai
vo jis ke muddatoñ gesū sañvāre
amaañ deñge agar ahl-e-zamāna
to jī leñge mohabbat ke ye maare
vatan se duur ik aafat kā maarā
dayār-e-ġhair meñ kis ko pukāre
sahārā hai 'malik' vo rabb-e-dāvar
jiye jaate haiñ ham jis ke sahāre
jinhen hum man baiThe the hamare
wo dushman ban gae sare ke sare
baDa majbur hai ye ibn-e-adam
zamin par arsh se kis ko utare
nazar aati nahin ab jin ki surat
kahan hain wo mere dilbar dulare
usi ne mujh ko uljhae rakha hai
wo jis ke muddaton gesu sanware
aman denge agar ahl-e-zamana
to ji lenge mohabbat ke ye mare
watan se dur ek aafat ka mara
dayar-e-ghair mein kis ko pukare
sahaara hai 'malik' wo rabb-e-dawar
jiye jate hain hum jis ke sahaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.