jinhen justuju-e-nashat thi wo isi hawas mein guzar gae
jinhen justuju-e-nashat thi wo isi hawas mein guzar gae
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
jinheñ justujū-e-nashāt thī vo isī havas meñ guzar ga.e
kahīñ phir ḳhushī na milī unheñ jo ġham-e-hayāt se Dar ga.e
mujhe rāh-e-shauq meñ chhoḌ kar vo nazar bachā ke guzar ga.e
mere saath the jo abhī abhī unheñ kyā huā vo kidhar ga.e
vo jo log kushta-e-nāz the yūñhī kar ke ziist basar ga.e
kabhī zauq-e-dīd meñ jī uThe kabhī shauq-e-dīd meñ mar ga.e
ye hijāb-e-husn kī shoḳhiyāñ haiñ ye khel jalva-e-nāz ke
kabhī merī āñkhoñ meñ bas ga.e kabhī mere dil meñ utar ga.e
unheñ ho bigaḌne kā ranj kyā unheñ kyoñ sañvarne kī ho ḳhushī
jo hazār baar bigaḌ ga.e jo hazār baar sañvar ga.e
hameñ āshiyāñ kā ghamanD thā unhīñ chaar tinkoñ pe dekhiye
ki jo tiin din bhī na rah sake vo havā chalī to bikhar ga.e
ye fusūñ-garī tire naam kī mujhe baat mil ga.ī kaam kī
tirā naam lab pe jo aa gayā mire bigḌe kaam sañvar ga.e
sar-o-barg-e-manzil-e-zīst kyā yūñhī ham ne apnī guzār dī
ki jahāñ milā koī aasrā vahīñ chaar din ko Thahar ga.e
ruḳh-e-zīst jis ne badal diyā huī jis se raunaq-e-zindagī
abhī merī bazm-e-ḳhayāl meñ vahī rang aa ke vo bhar ga.e
mire hāl-e-zār kī diid se ajab un kā haal thā bazm meñ
jo nazar paḌī to saham ga.e jo qarīb aa.e to Dar ga.e
vo jo āftāb-e-kamāl thā vahī nāgpūr meñ hai abhī
koī 'ḳhushtar' aa ke na jam sakā bahut aa.e ahl-e-hunar ga.e
jinhen justuju-e-nashat thi wo isi hawas mein guzar gae
kahin phir KHushi na mili unhen jo gham-e-hayat se Dar gae
mujhe rah-e-shauq mein chhoD kar wo nazar bacha ke guzar gae
mere sath the jo abhi abhi unhen kya hua wo kidhar gae
wo jo log kushta-e-naz the yunhi kar ke zist basar gae
kabhi zauq-e-did mein ji uThe kabhi shauq-e-did mein mar gae
ye hijab-e-husn ki shoKHiyan hain ye khel jalwa-e-naz ke
kabhi meri aankhon mein bas gae kabhi mere dil mein utar gae
unhen ho bigaDne ka ranj kya unhen kyon sanwarne ki ho KHushi
jo hazar bar bigaD gae jo hazar bar sanwar gae
hamein aashiyan ka ghamanD tha unhin chaar tinkon pe dekhiye
ki jo tin din bhi na rah sake wo hawa chali to bikhar gae
ye fusun-gari tere nam ki mujhe baat mil gai kaam ki
tera nam lab pe jo aa gaya mere bigDe kaam sanwar gae
sar-o-barg-e-manzil-e-zist kya yunhi hum ne apni guzar di
ki jahan mila koi aasra wahin chaar din ko Thahar gae
ruKH-e-zist jis ne badal diya hui jis se raunaq-e-zindagi
abhi meri bazm-e-KHayal mein wahi rang aa ke wo bhar gae
mere haal-e-zar ki did se ajab un ka haal tha bazm mein
jo nazar paDi to saham gae jo qarib aae to Dar gae
wo jo aaftab-e-kamal tha wahi nagpur mein hai abhi
koi 'KHushtar' aa ke na jam saka bahut aae ahl-e-hunar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.