jinhen main jaan kahta tha wo dushman jaan ke nikle
jinheñ maiñ jaan kahtā thā vo dushman jaan ke nikle
jo dushman jaan ke nikle mirī pahchān ke nikle
hamāre dil ko vo apnā khilaunā hī samajh baiThe
khilaunā toḌ Daalā aur siina taan ke nikle
sunānā chāhtā thā vo kahānī mere paas aa kar
magar us meñ ka.ī qisse kisī anjān ke nikle
mohabbat se mirī āñkheñ hamesha dekhtīñ un ko
lagā kar aag jo ghar se faqat 'zīshān' ke nikle
jinhen main jaan kahta tha wo dushman jaan ke nikle
jo dushman jaan ke nikle meri pahchan ke nikle
hamare dil ko wo apna khilauna hi samajh baiThe
khilauna toD Dala aur sina tan ke nikle
sunana chahta tha wo kahani mere pas aa kar
magar us mein kai qisse kisi anjaan ke nikle
mohabbat se meri aankhen hamesha dekhtin un ko
laga kar aag jo ghar se faqat 'zishan' ke nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.