jinhen nigah uThane mein bhi zamane lage
jinheñ nigāh uThāne meñ bhī zamāne lage
vo jā-ba-jā mirī tasvīr kyoñ sajāne lage
huā hai tai vo safar ek jast meñ mujh se
ki jis pe paañv bhī dharte tujhe zamāne lage
tire badan kī tabī.at se vāqafiyyat hai
maiñ jaan jā.ūñ agar mujh se tū chhupāne lage
ḳhudā kare ki kahīñ tujh ko terī fitrat sā
koī mile kabhī phir merī yaad aane lage
ye kaisā hijr hai jis par gumān vasl kā ho
tū mere paas rahe jab bhī uTh ke jaane lage
ye dil ajiib sā dil hai uThā ke dīvāreñ
tire ḳhayāl ke aate hī un ko Dhāne lage
tū apnī umr kī mahrūmiyāñ mujhe de de
maiñ chāhtī huuñ tirī ruuh muskurāne lage
jinhen nigah uThane mein bhi zamane lage
wo ja-ba-ja meri taswir kyon sajaane lage
hua hai tai wo safar ek jast mein mujh se
ki jis pe panw bhi dharte tujhe zamane lage
tere badan ki tabiat se waqafiyyat hai
main jaan jaun agar mujh se tu chhupane lage
KHuda kare ki kahin tujh ko teri fitrat sa
koi mile kabhi phir meri yaad aane lage
ye kaisa hijr hai jis par guman wasl ka ho
tu mere pas rahe jab bhi uTh ke jaane lage
ye dil ajib sa dil hai uTha ke diwaren
tere KHayal ke aate hi un ko Dhane lage
tu apni umr ki mahrumiyan mujhe de de
main chahti hun teri ruh muskurane lage
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 480)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.