jinhen ras aa gae hain ye sahar-numa andhere
jinheñ raas aa ga.e haiñ ye sahar-numā añdhere
ye talāsh-e-sub.h-e-nau meñ kabhī ham-safar the mere
thiiñ jo qatl-gāheñ un kī haiñ vahī qayām-gāheñ
the jo rahzanoñ ke maskan haiñ vo rahbaroñ ke Dere
maiñ jahān-e-be-dilī meñ kahāñ le ke jā.ūñ dil ko
mire dil kī ghaat meñ haiñ yahāñ chār-sū luTere
ai shaboñ ke pāsbānoñ maiñ ye tum se pūchhtā huuñ
jinheñ pūjte rahe ho vo kahāñ ga.e savere
are maiñ to be-navā huuñ jo kabhī na bik sakegā
are tum sunār ho kar yahāñ ban ga.e kasīre
jinhen ras aa gae hain ye sahar-numa andhere
ye talash-e-subh-e-nau mein kabhi ham-safar the mere
thin jo qatl-gahen un ki hain wahi qayam-gahen
the jo rahzanon ke maskan hain wo rahbaron ke Dere
main jahan-e-be-dili mein kahan le ke jaun dil ko
mere dil ki ghat mein hain yahan chaar-su luTere
ai shabon ke pasbanon main ye tum se puchhta hun
jinhen pujte rahe ho wo kahan gae sawere
are main to be-nawa hun jo kabhi na bik sakega
are tum sunar ho kar yahan ban gae kasire
- Book : Rag-e-jan (Pg. 183)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.