jinhen safar ke liye hausla nahin milta
jinheñ safar ke liye hausla nahīñ miltā
hujūm meñ bhī unheñ rāsta nahīñ miltā
burā na maan agar dekhne lagā huuñ tujhe
maiñ kyā karūñ ki mujhe aa.ina nahīñ miltā
lagī huī hai yūñhī dil ko hirs duniyā kī
vagarna un se jo māñgūñ to kyā nahīñ miltā
maiñ apne ghar se nikal kar kahāñ chalā aayā
ki shahr bhar meñ koī āshnā nahīñ miltā
azāb-e-jān banā hai ye shor-e-shahr-e-fishār
sukūñ ke vāste ab mai-kada nahīñ miltā
maiñ kyā kahūñ ki havā hī ḳhilāf hai mere
palaT ke aa.uuñ to dar bhī khulā nahīñ miltā
kahīñ se raushnī lā do vagarna ab 'ḳhālid'
vo ghar jalā.eñge jin ko diyā nahīñ miltā
jinhen safar ke liye hausla nahin milta
hujum mein bhi unhen rasta nahin milta
bura na man agar dekhne laga hun tujhe
main kya karun ki mujhe aaina nahin milta
lagi hui hai yunhi dil ko hirs duniya ki
wagarna un se jo mangun to kya nahin milta
main apne ghar se nikal kar kahan chala aaya
ki shahr bhar mein koi aashna nahin milta
azab-e-jaan bana hai ye shor-e-shahr-e-fishaar
sukun ke waste ab mai-kada nahin milta
main kya kahun ki hawa hi KHilaf hai mere
palaT ke aaun to dar bhi khula nahin milta
kahin se raushni la do wagarna ab 'KHalid'
wo ghar jalaenge jin ko diya nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.