jinhen uruj hamara giran guzarta hai
jinheñ 'urūj hamārā girāñ guzartā hai
sukūñ se un kā koī din kahāñ guzartā hai
vo chhoḌ jaatā hai fitnoñ ke darmiyāñ ham ko
hamāre shahr se jab bhī fulāñ guzartā hai
masarratoñ ke ye mausam bhī is tarah guzre
kisī makān se jaise dhuāñ guzartā hai
agar sharīk-e-safar ho mizāj se vāqif
to zindagī kā safar kāmrāñ guzartā hai
bhaTakne vaale musāfir kī rahbarī ke liye
ġhubār uḌātā huā kārvāñ guzartā hai
jabīñ pe sajde kī hasrat machalne lagtī hai
namāziyoñ pe jo vaqt-e-azāñ guzartā hai
usī kī zaat pe kartā hai rashk ye 'ālam'
jo chhoḌ kar koī dilkash nishāñ guzartā hai
jinhen 'uruj hamara giran guzarta hai
sukun se un ka koi din kahan guzarta hai
wo chhoD jata hai fitnon ke darmiyan hum ko
hamare shahr se jab bhi fulan guzarta hai
masarraton ke ye mausam bhi is tarah guzre
kisi makan se jaise dhuan guzarta hai
agar sharik-e-safar ho mizaj se waqif
to zindagi ka safar kaamran guzarta hai
bhaTakne wale musafir ki rahbari ke liye
ghubar uData hua karwan guzarta hai
jabin pe sajde ki hasrat machalne lagti hai
namaziyon pe jo waqt-e-azan guzarta hai
usi ki zat pe karta hai rashk ye 'alam'
jo chhoD kar koi dilkash nishan guzarta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.