jins-e-dil le kar bhare bazar tak pahuncha nahin
jins-e-dil le kar bhare bāzār tak pahuñchā nahīñ
ek tak pahuñchā huuñ maiñ do-chār tak pahuñchā nahīñ
mere pahlū se gurezāñ hai vo merā ḳhush-badan
ik hiran hai jo abhī tātār tak pahuñchā nahīñ
dekhne meñ kuchh nahīñ hai vaqt kī ye āb-jū
koī lekin us nadī ke paar tak pahuñchā nahīñ
kāġhazoñ par ham lakīreñ khīñchte hī rah ga.e
silsila harf-e-abad-āsār tak pahuñchā nahīñ
us ko dasht-e-zindagī meñ koī manzil kab milī
jo ġhazāl-e-vaqt kī raftār tak pahuñchā nahīñ
kuchh na kuchh vāmāñdgāñ ko de pazīrā.ī kā haq
Thiik hai koī tire me.aar tak pahuñchā nahīñ
tīrgī kī joñk ne sab pī liyā merā lahū
koī sūraj mere zaḳhm-e-tār tak pahuñchā nahīñ
yaar us maftūh laḌkī meñ balā kā husn thā
meñ hī buzdil thā jo dil kī haar tak pahuñchā nahīñ
shā.erī ko ye sharaf mujh se milā ‘yāvar-azīm’
maiñ ġhazal le kar kabhī darbār tak pahuñchā nahīñ
jins-e-dil le kar bhare bazar tak pahuncha nahin
ek tak pahuncha hun main do-chaar tak pahuncha nahin
mere pahlu se gurezan hai wo mera KHush-badan
ek hiran hai jo abhi tatar tak pahuncha nahin
dekhne mein kuchh nahin hai waqt ki ye aab-ju
koi lekin us nadi ke par tak pahuncha nahin
kaghazon par hum lakiren khinchte hi rah gae
silsila harf-e-abad-asar tak pahuncha nahin
us ko dasht-e-zindagi mein koi manzil kab mili
jo ghazal-e-waqt ki raftar tak pahuncha nahin
kuchh na kuchh wamandgan ko de pazirai ka haq
Thik hai koi tere mear tak pahuncha nahin
tirgi ki jonk ne sab pi liya mera lahu
koi suraj mere zaKHm-e-tar tak pahuncha nahin
yar us maftuh laDki mein bala ka husn tha
mein hi buzdil tha jo dil ki haar tak pahuncha nahin
shaeri ko ye sharaf mujh se mila ‘yawar-azim’
main ghazal le kar kabhi darbar tak pahuncha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.