jins-e-giran thi KHubi-e-qismat nahin mili
jins-e-girāñ thī ḳhūbī-e-qismat nahīñ milī
bikne ko ham bhī aa.e the qīmat nahīñ milī
hañgām-e-roz-o-shab ke mashāġhil the aur bhī
kuchh kārobār ziist se fursat nahīñ milī
kuchh duur ham bhī saath chale the ki yuuñ huā
kuchh mas.aloñ pe un se tabī.at nahīñ milī
ik aañch thī ki jis se sulagtā rahā vajūd
sho.ala sā jaag uTThe vo shiddat nahīñ milī
vo be-hisī thī ḳhushk huā sabza-e-umīd
barse jo sub.h-o-shām-o-chāhat nahīñ milī
ḳhvāhish thī justujū bhī thī dīvāngī na thī
sahrā-navard ban ke bhī vahshat nahīñ milī
vo raushnī thī saa.e bhī tahlīl ho ga.e
ā.īna-ghar meñ apnī bhī sūrat nahīñ milī
jins-e-giran thi KHubi-e-qismat nahin mili
bikne ko hum bhi aae the qimat nahin mili
hangam-e-roz-o-shab ke mashaghil the aur bhi
kuchh karobar zist se fursat nahin mili
kuchh dur hum bhi sath chale the ki yun hua
kuchh masalon pe un se tabiat nahin mili
ek aanch thi ki jis se sulagta raha wajud
shoala sa jag uTThe wo shiddat nahin mili
wo be-hisi thi KHushk hua sabza-e-umid
barse jo subh-o-sham-o-chahat nahin mili
KHwahish thi justuju bhi thi diwangi na thi
sahra-naward ban ke bhi wahshat nahin mili
wo raushni thi sae bhi tahlil ho gae
aaina-ghar mein apni bhi surat nahin mili
- Book : Kahein Kuch Nahein Hota (Pg. 102)
- Author : Shahid Mahuli
- Publication : Miaar Publications (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.