jis baat ka KHadsha tha wahi baat hui hai
jis baat kā ḳhadsha thā vahī baat huī hai
ghar duur bahut duur hai jab raat huī hai
tā-hadd-e-nazar vādī-e-vīrāñ kī zamīñ par
kal raat musalsal ghanī barsāt huī hai
pahle kabhī dekhā to nahīñ hai tumheñ lekin
mahsūs ye hotā hai mulāqāt huī hai
yuuñ ham ne sañvārī hai ye tahrīr-e-mohabbat
alfāz kī nuqtoñ kī mudārāt huī hai
sāhil pe jo pahuñchā mujhe dariyā ne sadā dī
is khel meñ pahle bhī tumheñ maat huī hai
ehsās-e-ġham-e-zāt ne chuppī sī lagā dī
jis vaqt zamāne se mulāqāt huī hai
jis baat ka KHadsha tha wahi baat hui hai
ghar dur bahut dur hai jab raat hui hai
ta-hadd-e-nazar wadi-e-viran ki zamin par
kal raat musalsal ghani barsat hui hai
pahle kabhi dekha to nahin hai tumhein lekin
mahsus ye hota hai mulaqat hui hai
yun hum ne sanwari hai ye tahrir-e-mohabbat
alfaz ki nuqton ki mudaraat hui hai
sahil pe jo pahuncha mujhe dariya ne sada di
is khel mein pahle bhi tumhein mat hui hai
ehsas-e-gham-e-zat ne chuppi si laga di
jis waqt zamane se mulaqat hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.