jis dil mein ho josh jawani ka pahlu mein wo ek pal kya Thahre
jis dil mein ho josh jawani ka pahlu mein wo ek pal kya Thahre
Munib Muzaffarpuri
MORE BYMunib Muzaffarpuri
jis dil meñ ho josh javānī kā pahlū meñ vo ik pal kyā Thahre
jab dil hī nahīñ ho qaabū meñ to siine pe āñchal kyā Thahre
hotā hai jab surḳhī kā asar uḌ jaatā hai rañg siyāhī kā
jis aañkh meñ laalī dauḌ ga.ī us aañkh meñ kājal kyā Thahre
shīshe meñ dekh vo apnī adā jab shoḳh hasīna sharmā.e
aise meñ pasīna aa jaa.e to maañg pe sandal kyā Thahre
ho laakh bhī zulfoñ kā saaya chehra vo magar kab chhuptā hai
jab chāñd chamakne par aa.e to sāmne bādal kyā Thahre
rasta chalnā iThlānā ḳhud paañv se paañv kā Takrānā
jab chaal ho aisī matavālī to paañv meñ paa.el kyā Thahre
jis dil mein ho josh jawani ka pahlu mein wo ek pal kya Thahre
jab dil hi nahin ho qabu mein to sine pe aanchal kya Thahre
hota hai jab surKHi ka asar uD jata hai rang siyahi ka
jis aankh mein lali dauD gai us aankh mein kajal kya Thahre
shishe mein dekh wo apni ada jab shoKH hasina sharmae
aise mein pasina aa jae to mang pe sandal kya Thahre
ho lakh bhi zulfon ka saya chehra wo magar kab chhupta hai
jab chand chamakne par aae to samne baadal kya Thahre
rasta chalna iThlana KHud panw se panw ka Takrana
jab chaal ho aisi matawali to panw mein pael kya Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.