jis din se humne dekha hai tere shabab ko
jis din se ham ne dekhā hai tere shabāb ko
kuchh aur hī nigāh se dekhā sharāb ko
uljhe hue ho kis liye safhoñ meñ jān-e-man
jab paḌh liyā hai aap ne dil kī kitāb ko
dil ne tire laboñ kā tasavvur hī bas kiyā
hoñToñ se duur kar diyā ham ne gulāb ko
bhañvaroñ ne phuul chhoḌ ke dekhā hai is tarah
goyā taras rahe hoñ tumhāre javāb ko
achchhā huā zamīñ pe gire muñh ke bal habīb
ujlat meñ pī hī lete vagarna sarāb ko
gulshan se ḳhushbū jaane lagī hai ḳhizāñ kī samt
kuchh is adā se takne lage vo gulāb ko
jis din se hum ne dekha hai tere shabab ko
kuchh aur hi nigah se dekha sharab ko
uljhe hue ho kis liye safhon mein jaan-e-man
jab paDh liya hai aap ne dil ki kitab ko
dil ne tere labon ka tasawwur hi bas kiya
honTon se dur kar diya hum ne gulab ko
bhanwaron ne phul chhoD ke dekha hai is tarah
goya taras rahe hon tumhaare jawab ko
achchha hua zamin pe gire munh ke bal habib
ujlat mein pi hi lete wagarna sarab ko
gulshan se KHushbu jaane lagi hai KHizan ki samt
kuchh is ada se takne lage wo gulab ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.