jis din se uTh ke hum teri mahfil se aae hain
jis din se uTh ke ham tirī mahfil se aa.e haiñ
lagtā hai lākhoñ kos kī manzil se aa.e haiñ
mil kar gale ham apne hī qātil se aa.e haiñ
kyā saaf bach ke maut kī manzil se aa.e haiñ
rāheñ haiñ āshiqī kī nihāyat hī pur-ḳhatar
tere huzūr ham baḌī mushkil se aa.e haiñ
zulfoñ ke pech-o-ḳham meñ paḌeñ ham to kyā paḌeñ
ham tañg ḳhud hī apne masā.il se aa.e haiñ
bazm-e-butāñ meñ shaiḳh sukūñ ke ḳhayāl se
dāman chhuḌā ke zikr-o-navāfil se aa.e haiñ
ye haq parastiyāñ mirī marhūn-e-kufr haiñ
ye din to faiz-e-sohbat-e-bātil se aa.e haiñ
kuchh vahshiyoñ pe rañg bahāroñ se the 'alīm'
kuchh ehtimām tauq-o-salāsil se aa.e haiñ
jis din se uTh ke hum teri mahfil se aae hain
lagta hai lakhon kos ki manzil se aae hain
mil kar gale hum apne hi qatil se aae hain
kya saf bach ke maut ki manzil se aae hain
rahen hain aashiqi ki nihayat hi pur-KHatar
tere huzur hum baDi mushkil se aae hain
zulfon ke pech-o-KHam mein paDen hum to kya paDen
hum tang KHud hi apne masail se aae hain
bazm-e-butan mein shaiKH sukun ke KHayal se
daman chhuDa ke zikr-o-nawafil se aae hain
ye haq parastiyan meri marhun-e-kufr hain
ye din to faiz-e-sohbat-e-baatil se aae hain
kuchh wahshiyon pe rang bahaaron se the 'alim'
kuchh ehtimam tauq-o-salasil se aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.