jis din se zindagi mein tera gham nahin raha
jis din se zindagī meñ tirā ġham nahīñ rahā
us din se merā ġham bhī koī kam nahīñ rahā
jab ham safar pe nikle to raste ulajh ga.e
raste sulajh ga.e haiñ to ab dam nahīñ rahā
aañsū nahīñ lahū thā jo is hijr meñ bahā
phir is ke baa'd aañkh meñ vo nam nahīñ rahā
sochā thā apne aap ko ham jānte kabhī
lekin shu.ūr-e-zāt kā mausam nahīñ rahā
jīvan kī ik Dagar se phisalte rahe haiñ log
is rahguzar pe koī kabhī jam nahīñ rahā
yuuñ to bahut se log mile ham ko ai 'sadaf'
mil ke chale to koī bhī hamdam nahīñ rahā
jis din se zindagi mein tera gham nahin raha
us din se mera gham bhi koi kam nahin raha
jab hum safar pe nikle to raste ulajh gae
raste sulajh gae hain to ab dam nahin raha
aansu nahin lahu tha jo is hijr mein baha
phir is ke ba'd aankh mein wo nam nahin raha
socha tha apne aap ko hum jaante kabhi
lekin shuur-e-zat ka mausam nahin raha
jiwan ki ek Dagar se phisalte rahe hain log
is rahguzar pe koi kabhi jam nahin raha
yun to bahut se log mile hum ko ai 'sadaf'
mil ke chale to koi bhi hamdam nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.