jis ghaDi har ek bashar paband-e-shar ho jaega
jis ghaDi har ek bashar paband-e-shar ho jaega
Ishtiyaq Ahmad Aajiz
MORE BYIshtiyaq Ahmad Aajiz
jis ghaḌī har ik bashar pāband-e-shar ho jā.egā
to nizām-e-ḳhushk-o-tar zer-o-zabar ho jā.egā
kaash vo ik baar dar pe dene dastak aa.e to
phir hamesha ke liye dil us kā ghar ho jā.egā
dekh kar vo shahr kī laḌkī fidā us par huā
gaañv kā laḌkā hai āḳhir dar-ba-dar ho jā.egā
har qadam har saañs 'ājiz' kah rahī hai ye tumheñ
rafta-rafta ye safar bhī muḳhtasar ho jā.egā
jis ghaDi har ek bashar paband-e-shar ho jaega
to nizam-e-KHushk-o-tar zer-o-zabar ho jaega
kash wo ek bar dar pe dene dastak aae to
phir hamesha ke liye dil us ka ghar ho jaega
dekh kar wo shahr ki laDki fida us par hua
ganw ka laDka hai aaKHir dar-ba-dar ho jaega
har qadam har sans 'ajiz' kah rahi hai ye tumhein
rafta-rafta ye safar bhi muKHtasar ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.