jis ghaDi lahja tumhaara Khaar jaisa ho gaya
jis ghaḌī lahja tumhārā ḳhaar jaisā ho gayā
dil bahut nāzuk thā merā reza reza ho gayā
kaise kahte ho ise tum ye vafā kī hai misāl
aa.ine meñ jo bhī aaya ye usī kā ho gayā
kis kā honā hai tumheñ ye hai tumhārā mas.ala
mujh ko honā thā kisī kā so tumhārā ho gayā
ek din jhagḌe kī 'ādat ham ko laa.ī thī qarīb
ek din is pe hī ham donoñ kā jhagḌā ho gayā
ik zarā āñkhoñ pe chashma lagnā baaqī thā mirī
saaf us ke baa'd to har ek chehra ho gayā
maiñ na kahtā thā faqat dīdār hai is kā 'ilāj
dekh tujh ko dekh kar bīmār achchhā ho gayā
sīḌhiyāñ shohrat kī chaḌhte dekh kar mujh ko 'asad'
dostoñ kā bhī mirī jānib nishāna ho gayā
jis ghaDi lahja tumhaara KHar jaisa ho gaya
dil bahut nazuk tha mera reza reza ho gaya
kaise kahte ho ise tum ye wafa ki hai misal
aaine mein jo bhi aaya ye usi ka ho gaya
kis ka hona hai tumhein ye hai tumhaara masala
mujh ko hona tha kisi ka so tumhaara ho gaya
ek din jhagDe ki 'adat hum ko lai thi qarib
ek din is pe hi hum donon ka jhagDa ho gaya
ek zara aankhon pe chashma lagna baqi tha meri
saf us ke ba'd to har ek chehra ho gaya
main na kahta tha faqat didar hai is ka 'ilaj
dekh tujh ko dekh kar bimar achchha ho gaya
siDhiyan shohrat ki chaDhte dekh kar mujh ko 'asad'
doston ka bhi meri jaanib nishana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.