jis gulistan mein basun main wahi virana bane
jis gulistāñ meñ basūñ maiñ vahī vīrāna bane
barq lauTe vahīñ jis jā mirā kāshāna bane
tujh se kaam itnā to ai himmat-e-mardāna bane
barq lauTī hai jahāñ phir vahīñ kāshāna bane
ham to miT kar bhī na ḳhisht-e-ḳhum-e-mai-ḳhāna bane
ham se ḳhaak achchhī hai jis ḳhaak se paimāna bane
āshnā ho vo tirā sab se jo begāna bane
hosh usī ke haiñ bajā jo tirā dīvāna bane
tere hāthoñ se agar sham-e-lahad ho raushan
uḌ ke har zarra mirī qabr kā parvāna bane
sho.ala-e-husn kī yuuñ sair kahāñ sab ko nasīb
qismat us ḳhaak kī jis ḳhaak se parvāna bane
dil shikastoñ ko bhī hai mahfil-e-sāqī meñ jagah
TuuT bhī jaa.e agar shīsha to paimāna bane
ai tasavvur hai nihāñ shān-e-sulaimāñ tujh meñ
tū agar chāhe to ghar merā parī-ḳhāna bane
'shā.eq' is bazm meñ ham sūrat-e-tasvīr haiñ chup
kyā kareñ baat jahāñ baat kā afsāna bane
jis gulistan mein basun main wahi virana bane
barq lauTe wahin jis ja mera kashana bane
tujh se kaam itna to ai himmat-e-mardana bane
barq lauTi hai jahan phir wahin kashana bane
hum to miT kar bhi na KHisht-e-KHum-e-mai-KHana bane
hum se KHak achchhi hai jis KHak se paimana bane
aashna ho wo tera sab se jo begana bane
hosh usi ke hain baja jo tera diwana bane
tere hathon se agar sham-e-lahad ho raushan
uD ke har zarra meri qabr ka parwana bane
shoala-e-husn ki yun sair kahan sab ko nasib
qismat us KHak ki jis KHak se parwana bane
dil shikaston ko bhi hai mahfil-e-saqi mein jagah
TuT bhi jae agar shisha to paimana bane
ai tasawwur hai nihan shan-e-sulaiman tujh mein
tu agar chahe to ghar mera pari-KHana bane
'shaeq' is bazm mein hum surat-e-taswir hain chup
kya karen baat jahan baat ka afsana bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.