jis jawan ke sine mein zalzale nahin hote
jis javāñ ke siine meñ zalzale nahīñ hote
us javāñ ke lahje meñ dabdabe nahīñ hote
ik zarā karo himmat duniyā-bhar ke mazlūmo
zālimoñ meñ dekhā hai hausle nahīñ hote
jang laḌnā paḌtī hai apne zor-e-bāzū par
zindagī ke maidāñ meñ mo'jize nahīñ hote
apnī apnī mehnat kā phal sabhī ko miltā hai
āsmāñ se qismat ke faisle nahīñ hote
jitne chāheñ daulat ke Dher bhī lagā leñ vo
be-zamīr logoñ ke martabe nahīñ hote
yā vo pakḌe jaate haiñ jo ki kuchh nahīñ karte
yā vo jin ke uupar tak rābte nahīñ hote
jo daraḳht ḳhālī hoñ phuul aur pattoñ se
un pe panchhiyoñ ke bhī ghoñsle nahīñ hote
bah rahā hai itnā ḳhuuñ shahr meñ ki lagtā hai
jangaloñ meñ ab shāyad bheḌiye nahīñ hote
jis jawan ke sine mein zalzale nahin hote
us jawan ke lahje mein dabdabe nahin hote
ek zara karo himmat duniya-bhar ke mazlumo
zalimon mein dekha hai hausle nahin hote
jang laDna paDti hai apne zor-e-bazu par
zindagi ke maidan mein mo'jize nahin hote
apni apni mehnat ka phal sabhi ko milta hai
aasman se qismat ke faisle nahin hote
jitne chahen daulat ke Dher bhi laga len wo
be-zamir logon ke martabe nahin hote
ya wo pakDe jate hain jo ki kuchh nahin karte
ya wo jin ke upar tak rabte nahin hote
jo daraKHt KHali hon phul aur patton se
un pe panchhiyon ke bhi ghonsle nahin hote
bah raha hai itna KHun shahr mein ki lagta hai
jangalon mein ab shayad bheDiye nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.