jis ka dil jam-e-fana se har ghaDi sarshaar hai
jis ka dil jam-e-fana se har ghaDi sarshaar hai
Sayyad Tasadduq Ali Asad
MORE BYSayyad Tasadduq Ali Asad
jis kā dil jām-e-fanā se har ghaḌī sarshār hai
us kī sūrat hai kahāñ vo sūrat-e-dildār hai
aisī tanhā.ī milī rāh-e-haqīqat meñ hameñ
yās-o-hasrat ke sivā koī nahīñ ġham-ḳhvār hai
ham to haiñ dair-o-haram meñ ek sūrat dekhiye
tum meñ ai shaiḳh-o-barahman kis liye takrār hai
kyoñ kiyā hai tū ne maiḳhāne ke darvāze ko band
aaj kyā aaya nahīñ saaqī koī mai-ḳhvār hai
sar ko na kaTvātā gar ramz-e-fanā ko jāntā
kab kamāl-e-ishq meñ mansūr tū hoshiyār hai
jis ko āzādī milī hai ishq meñ phir vo mudām
ka.aba-o-but-ḳhāna meñ phirtā qalandar-vār hai
qum bi-iznī shams-e-dīñ kā haq hai kahnā ai 'asad'
ġhain jab ġham ho ga.ī tab ain kā iz.hār hai
jis ka dil jam-e-fana se har ghaDi sarshaar hai
us ki surat hai kahan wo surat-e-dildar hai
aisi tanhai mili rah-e-haqiqat mein hamein
yas-o-hasrat ke siwa koi nahin gham-KHwar hai
hum to hain dair-o-haram mein ek surat dekhiye
tum mein ai shaiKH-o-barahman kis liye takrar hai
kyon kiya hai tu ne maiKHane ke darwaze ko band
aaj kya aaya nahin saqi koi mai-KHwar hai
sar ko na kaTwata gar ramz-e-fana ko jaanta
kab kamal-e-ishq mein mansur tu hoshiyar hai
jis ko aazadi mili hai ishq mein phir wo mudam
kaba-o-but-KHana mein phirta qalandar-war hai
qum bi-izni shams-e-din ka haq hai kahna ai 'asad'
ghain jab gham ho gai tab ain ka izhaar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.