jis ka har lamha masaib mein basar hota hai
jis kā har lamha masā.ib meñ basar hotā hai
hausla us kā kahāñ zer-o-zabar hotā hai
jis kī mehnat se amīroñ ke shikam bharte haiñ
us kā sūkhe hue TukḌoñ pe guzar hotā hai
iiñT patthar kā makāñ ho ye zarūrī to nahīñ
chaar tinkoñ kā nasheman bhī to ghar hotā hai
chhīn lete haiñ sukūñ us kā havā ke jhoñke
jis ke āñgan meñ samar-bār shajar hotā hai
zindagī se use mansūb maiñ kar letā huuñ
vo tamāsha jo yahāñ shām-o-sahar hotā hai
bhaa.ī se bhaa.ī ke dil meñ ho safā.ī to 'adīm'
sahn ke biich hī dīvār meñ dar hotā hai
jis ka har lamha masaib mein basar hota hai
hausla us ka kahan zer-o-zabar hota hai
jis ki mehnat se amiron ke shikam bharte hain
us ka sukhe hue TukDon pe guzar hota hai
inT patthar ka makan ho ye zaruri to nahin
chaar tinkon ka nasheman bhi to ghar hota hai
chhin lete hain sukun us ka hawa ke jhonke
jis ke aangan mein samar-bar shajar hota hai
zindagi se use mansub main kar leta hun
wo tamasha jo yahan sham-o-sahar hota hai
bhai se bhai ke dil mein ho safai to 'adim'
sahn ke bich hi diwar mein dar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.