jis ka hota nahin wo log usi ka samjhe
jis kā hotā nahīñ vo log usī kā samjhe
kyā burā.ī hai bure ko ki na achchhā samjhe
itnā kāfir ho ki pūchhe nahīñ ahvāl talak
aise kāfir ko bhalā kaun masīhā samjhe
jiit to lūñgī maiñ haarī huī baazī lekin
piit ke khel meñ kāfir mujhe apnā samjhe
ek kāfir se faqat itnī guzārish hai mirī
dil ke bikhre hue ā.īne ko yakjā samjhe
us pe bahte hue ashkoñ kā asar honā nahīñ
vo to patthar kī tarah hai use ham kyā samjhe
vo to but thā kisī kāfir kā tarāshā huā but
ham 'duā' jis ko duāoñ kā karishma samjhe
jis ka hota nahin wo log usi ka samjhe
kya burai hai bure ko ki na achchha samjhe
itna kafir ho ki puchhe nahin ahwal talak
aise kafir ko bhala kaun masiha samjhe
jit to lungi main haari hui bazi lekin
pit ke khel mein kafir mujhe apna samjhe
ek kafir se faqat itni guzarish hai meri
dil ke bikhre hue aaine ko yakja samjhe
us pe bahte hue ashkon ka asar hona nahin
wo to patthar ki tarah hai use hum kya samjhe
wo to but tha kisi kafir ka tarasha hua but
hum 'dua' jis ko duaon ka karishma samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.