jis ka ji chahe faqiron ki dua le jae
jis kā jī chāhe faqīroñ kī duā le jaa.e
kal hameñ jaane kahāñ vaqt uThā le jaa.e
ḳhidmat-e-ḳhalq se hastī ko farozāñ kar le
kyā pata kaun sī zulmat meñ qazā le jaa.e
is liye koī jahāñ se na gayā kuchh le kar
kyā hai duniyā meñ koī saath bhī kyā le jaa.e
baañT de sab meñ ye ḳhushiyāñ jo milī haiñ tujh ko
is se pahle ki koī in ko churā le jaa.e
tū jise DhūñD rahā hai vo tire andar hai
ḳhud se milvāne tujhe kaun bhalā le jaa.e
āñdhiyāñ to na hilā pā.īñ tujhe 'rāz' magar
ab uḌā kar na kahīñ bād-e-sabā le jaa.e
jis ka ji chahe faqiron ki dua le jae
kal hamein jaane kahan waqt uTha le jae
KHidmat-e-KHalq se hasti ko farozan kar le
kya pata kaun si zulmat mein qaza le jae
is liye koi jahan se na gaya kuchh le kar
kya hai duniya mein koi sath bhi kya le jae
banT de sab mein ye KHushiyan jo mili hain tujh ko
is se pahle ki koi in ko chura le jae
tu jise DhunD raha hai wo tere andar hai
KHud se milwane tujhe kaun bhala le jae
aandhiyan to na hila pain tujhe 'raaz' magar
ab uDa kar na kahin baad-e-saba le jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.