jis ka mujhe arman hai wo aksar nahin milta
jis kā mujhe armāñ hai vo aksar nahīñ miltā
maiñ hosh meñ huuñ aur mujhe ghar nahīñ miltā
insān se ruḳhsat huā me.ār-e-fazīlat
dastār to lākhoñ haiñ magar sar nahīñ miltā
peshāniyāñ DhūñDeñ to kahāñ apnā Thikāna
sajdoñ kā jo markaz thā vahī dar nahīñ miltā
jo chāhe sune hai ye mire qalb kī āvāz
jo haq hai mirā sab ke barābar nahīñ miltā
jab tak talab-e-sabr thī dil ne na diyā saath
ab zauq-e-sitam hai to sitamgar nahīñ miltā
dīvāngī-e-shauq kā kaise ho nazāra
sar phoḌnā chāhūñ bhī to patthar nahīñ miltā
tum ko to 'habīb' us ne sadā dī hai ka.ī baar
aisā to kisī ko bhī muqaddar nahīñ miltā
jis ka mujhe arman hai wo aksar nahin milta
main hosh mein hun aur mujhe ghar nahin milta
insan se ruKHsat hua mear-e-fazilat
dastar to lakhon hain magar sar nahin milta
peshaniyan DhunDen to kahan apna Thikana
sajdon ka jo markaz tha wahi dar nahin milta
jo chahe sune hai ye mere qalb ki aawaz
jo haq hai mera sab ke barabar nahin milta
jab tak talab-e-sabr thi dil ne na diya sath
ab zauq-e-sitam hai to sitamgar nahin milta
diwangi-e-shauq ka kaise ho nazara
sar phoDna chahun bhi to patthar nahin milta
tum ko to 'habib' us ne sada di hai kai bar
aisa to kisi ko bhi muqaddar nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.