jis ke dil mein ishq ka jazba nahin
jis ke dil meñ 'ishq kā jazba nahīñ
zindagī kā raaz vo samjhā nahīñ
shoḳhiyāñ naḳhre aur un kā bāñkpan
bhūlnā chāhā magar bhūlā nahīñ
mandir-o-masjid se uThtā hai dhuāñ
ghar meñ hai do vaqt kā aaTā nahīñ
jis ko dekho vo pareshāñ-hāl hai
mutma.in miltā koī chehra nahīñ
mujrim-o-munsif jahāñ par ek hoñ
faisla haq kā vahāñ hotā nahīñ
muflisī samjhegā kyā jis ne kabhī
muflisī kā zā.iqa chakkhā nahīñ
ḳhuun ke rishte bhī sab be-faiz haiñ
jeb meñ gar aap ke paisa nahīñ
roz mil kar aap se lagtā hai kyoñ
muddatoñ se aap ko dekhā nahīñ
ab 'kashish' ko aur kyā samjhe koī
aap hī ne jab use samjhā nahīñ
jis ke dil mein 'ishq ka jazba nahin
zindagi ka raaz wo samjha nahin
shoKHiyan naKHre aur un ka bankpan
bhulna chaha magar bhula nahin
mandir-o-masjid se uThta hai dhuan
ghar mein hai do waqt ka aaTa nahin
jis ko dekho wo pareshan-haal hai
mutmain milta koi chehra nahin
mujrim-o-munsif jahan par ek hon
faisla haq ka wahan hota nahin
muflisi samjhega kya jis ne kabhi
muflisi ka zaiqa chakkha nahin
KHun ke rishte bhi sab be-faiz hain
jeb mein gar aap ke paisa nahin
roz mil kar aap se lagta hai kyon
muddaton se aap ko dekha nahin
ab 'kashish' ko aur kya samjhe koi
aap hi ne jab use samjha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.