jis ke hathon mein hua tha sang-rezon ka shikar
jis ke hathon mein hua tha sang-rezon ka shikar
Badrul Hasan Badar
MORE BYBadrul Hasan Badar
jis ke hāthoñ meñ huā thā sang-rezoñ kā shikār
aaj vo bhī ho gayā apne gunāhoñ kā shikār
aur kitne din mirī nazroñ ko tum doge fareb
aur kitne din rahūñgā maiñ tilismoñ kā shikār
bad-gumāñ jis se rahā kartī thī sūraj kī kiran
ho gayā vo peḌ bhī kaalī ghaTāoñ kā shikār
chal paḌe haiñ log mujh ko le ke suulī kī taraf
āḳhirash maiñ ho gayā apne usūloñ kā shikār
apnī shohrat kā mujhe us vaqt andāza huā
shaḳhsiyat merī huī jab nukta-chīnī kā shikār
sar kaTī lāsheñ mileñgī tum ko har ik moḌ par
raushnī ho jā.egī jis dam añdheroñ kā shikār
'badr' terā shukriya ki tū bhī mere saath hai
maiñ akelā hī nahīñ jhūTī umīdoñ kā shikār
jis ke hathon mein hua tha sang-rezon ka shikar
aaj wo bhi ho gaya apne gunahon ka shikar
aur kitne din meri nazron ko tum doge fareb
aur kitne din rahunga main tilismon ka shikar
bad-guman jis se raha karti thi suraj ki kiran
ho gaya wo peD bhi kali ghaTaon ka shikar
chal paDe hain log mujh ko le ke suli ki taraf
aaKHirash main ho gaya apne usulon ka shikar
apni shohrat ka mujhe us waqt andaza hua
shaKHsiyat meri hui jab nukta-chini ka shikar
sar kaTi lashen milengi tum ko har ek moD par
raushni ho jaegi jis dam andheron ka shikar
'badr' tera shukriya ki tu bhi mere sath hai
main akela hi nahin jhuTi umidon ka shikar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.