jis ke liye ye bazm sajai ba-sad-KHulus
jis ke liye ye bazm sajā.ī ba-sad-ḳhulūs
rasm-e-vafā bhī us ne nibhā.ī ba-sad-ḳhulūs
aa.e vo anjuman meñ to raunaq sī aa ga.ī
liije salām-e-dast-e-hinā.ī ba-sad-ḳhulūs
ab ye ġham-e-judā.ī nahīñ sah sakūñgī maiñ
ranj-o-alam se diije rihā.ī ba-sad-ḳhulūs
ḳhud ko sipurd sho.aloñ ke maiñ ne bhī kar diyā
us ne jafā kī aag lagā.ī ba-sad-ḳhulūs
ye vasl-shab to shikve shikāyat meñ kaT ga.ī
rūdād-e-ishq us ne sunā.ī ba-sad-ḳhulūs
ham ne bhī aaj apnī 'anā' kā rakhā bharam
us ne bhī aaj de dī rihā.ī ba-sad-ḳhulūs
jis ke liye ye bazm sajai ba-sad-KHulus
rasm-e-wafa bhi us ne nibhai ba-sad-KHulus
aae wo anjuman mein to raunaq si aa gai
lije salam-e-dast-e-hinai ba-sad-KHulus
ab ye gham-e-judai nahin sah sakungi main
ranj-o-alam se dije rihai ba-sad-KHulus
KHud ko sipurd shoalon ke main ne bhi kar diya
us ne jafa ki aag lagai ba-sad-KHulus
ye wasl-shab to shikwe shikayat mein kaT gai
rudad-e-ishq us ne sunai ba-sad-KHulus
hum ne bhi aaj apni 'ana' ka rakha bharam
us ne bhi aaj de di rihai ba-sad-KHulus
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.