jis ki baaton mein hamein naKHwat mili
jis kī bātoñ meñ hameñ naḳhvat milī
har qadam par us ko to zillat milī
baad marne ke bhī un ke charche haiñ
ahl-e-fan ko dā.imī shohrat milī
raushnī kaisī ki rāh-e-zīst meñ
har qadam par ham ko to zulmat milī
ye kamā.ī hai bahut mere liye
aap ke dar se mujhe izzat milī
maañ ke qadmoñ meñ mujhe aisā lagā
mujh ko mere ghar meñ hī jannat milī
ye bhī daulat kam nahīñ hai ai 'riyāz'
ilm vāloñ kī mujhe sohbat milī
jis ki baaton mein hamein naKHwat mili
har qadam par us ko to zillat mili
baad marne ke bhi un ke charche hain
ahl-e-fan ko daimi shohrat mili
raushni kaisi ki rah-e-zist mein
har qadam par hum ko to zulmat mili
ye kamai hai bahut mere liye
aap ke dar se mujhe izzat mili
man ke qadmon mein mujhe aisa laga
mujh ko mere ghar mein hi jannat mili
ye bhi daulat kam nahin hai ai 'riyaz'
ilm walon ki mujhe sohbat mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.