jis ki hamein talash thi manzil yahi to hai
jis kī hameñ talāsh thī manzil yahī to hai
is kā.enāt-e-husn kī mahfil yahī to hai
nazroñ kī taab laa.eñ ki thāmeñ vo jām-e-mai
saaqī jahāñ meñ rind kī mushkil yahī to hai
ab tiir hai kamāñ meñ na ḳhanjar hai haath meñ
phir bhī hamārī jaan kā qātil yahī to hai
dekhī thī us ke husn kī āñkhoñ se ik jhalak
terā asiir tab se huā dil yahī to hai
arse se ahl-e-sidq-o-safā ke liye hai daar
sach bolne kā dahr meñ hāsil yahī to hai
maujoñ se bach ke nikle to ye kārvān-e-dil
tūfānoñ se ghirā huā sāhil yahī to hai
da.avā hai us ko ishq kā kuchh āzmā.iye
'aḳhtar' hai ye sazāoñ ke qābil yahī to hai
jis ki hamein talash thi manzil yahi to hai
is kaenat-e-husn ki mahfil yahi to hai
nazron ki tab laen ki thamen wo jam-e-mai
saqi jahan mein rind ki mushkil yahi to hai
ab tir hai kaman mein na KHanjar hai hath mein
phir bhi hamari jaan ka qatil yahi to hai
dekhi thi us ke husn ki aankhon se ek jhalak
tera asir tab se hua dil yahi to hai
arse se ahl-e-sidq-o-safa ke liye hai dar
sach bolne ka dahr mein hasil yahi to hai
maujon se bach ke nikle to ye karwan-e-dil
tufanon se ghira hua sahil yahi to hai
dawa hai us ko ishq ka kuchh aazmaiye
'aKHtar' hai ye sazaon ke qabil yahi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.