jis ki ek did bhao hai dil ka
jis kī ik diid bhaao hai dil kā
us kī jānib jhukāo hai dil kā
'aql har chiiz se ulajhtī hai
kitnā achchhā subhāv hai dil kā
terī yādeñ bhī jhoñk dī is meñ
ye jo raushan alaav hai dil kā
vo jise log 'ishq kahte haiñ
sach kahūñ to lagāo hai dil kā
hai ravānī meñ zindagī us kī
ik nadī sā bahāo hai dil kā
tū na aa.e to thamne lagtā hai
mujh pe kitnā dabāo hai dil kā
dekhtā bhī nahīñ kisī jānib
is galī meñ paḌāo hai dil kā
kisī apne kā tiir thā 'adnān'
kyā dikhā.ūñ jo ghaav hai dil kā
jis ki ek did bhao hai dil ka
us ki jaanib jhukao hai dil ka
'aql har chiz se ulajhti hai
kitna achchha subhaw hai dil ka
teri yaaden bhi jhonk di is mein
ye jo raushan alaw hai dil ka
wo jise log 'ishq kahte hain
sach kahun to lagao hai dil ka
hai rawani mein zindagi us ki
ek nadi sa bahao hai dil ka
tu na aae to thamne lagta hai
mujh pe kitna dabao hai dil ka
dekhta bhi nahin kisi jaanib
is gali mein paDao hai dil ka
kisi apne ka tir tha 'adnan'
kya dikhaun jo ghaw hai dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.