jis ki jahan mein apni zamin apna taKHt hai
jis kī jahāñ meñ apnī zamīñ apnā taḳht hai
vo be-amāñ ke vāste shaddād-e-vaqt hai
dekhe hue ko dekhnā har baar muḳhtalif
ye imtihān yaar kaḌā aur saḳht hai
baḌhtā hī jā rahā hai ḳharābī kā silsila
har ek silsile meñ yahī pesh-raft hai
miTTī se uTh rahā hai ġhubār-e-azal-abad
har raḳhna-e-vajūd guzargāh-e-hast hai
jis ki jahan mein apni zamin apna taKHt hai
wo be-aman ke waste shaddad-e-waqt hai
dekhe hue ko dekhna har bar muKHtalif
ye imtihan yar kaDa aur saKHt hai
baDhta hi ja raha hai KHarabi ka silsila
har ek silsile mein yahi pesh-raft hai
miTTi se uTh raha hai ghubar-e-azal-abad
har raKHna-e-wajud guzargah-e-hast hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.