jis ki jo hai talab tamasha hai
jis kī jo hai talab tamāsha hai
ye bhī kitnā ajab tamāsha hai
aañkh īmān laa.ī manzar par
dil ye kahtā hai sab tamāsha hai
maiñ ne duniyā ke rang dekhe haiñ
mere aage ye sab tamāsha hai
dekhte haiñ jo ham kisī kī taraf
dekhne kā sabab tamāsha hai
vo bhī dikhlā.e jo ki hai hī nahīñ
terī duniyā ajab tamāsha hai
lā-makāñ se ye dahr tak kā safar
tab tamāsha thā ab tamāsha hai
jo thā jiinā adan meñ jī aa.e
zindagī kyā hai ab tamāshā hai
bāb-e-ālam meñ kun kahā pahle
phir kahā zer-e-lab tamāshā hai
kyoñ sar-e-tūr dekhne jaa.eñ
tere jaisā vo kab tamāshā hai
kyoñ na āḳhir hoñ tujh se dād-talab
ham ko karnā hī jab tamāsha hai
sochiye to tamāsha-e-hastī
kis qadar be-sabab tamāsha hai
mā-sivā diid jis meñ tū ho faqat
baaqī jo kuchh hai sab tamāsha hai
parda-dārī se kaam kyā liije
'shams' honā hī jab tamāsha hai
jis ki jo hai talab tamasha hai
ye bhi kitna ajab tamasha hai
aankh iman lai manzar par
dil ye kahta hai sab tamasha hai
main ne duniya ke rang dekhe hain
mere aage ye sab tamasha hai
dekhte hain jo hum kisi ki taraf
dekhne ka sabab tamasha hai
wo bhi dikhlae jo ki hai hi nahin
teri duniya ajab tamasha hai
la-makan se ye dahr tak ka safar
tab tamasha tha ab tamasha hai
jo tha jina adan mein ji aae
zindagi kya hai ab tamasha hai
bab-e-alam mein kun kaha pahle
phir kaha zer-e-lab tamasha hai
kyon sar-e-tur dekhne jaen
tere jaisa wo kab tamasha hai
kyon na aaKHir hon tujh se dad-talab
hum ko karna hi jab tamasha hai
sochiye to tamasha-e-hasti
kis qadar be-sabab tamasha hai
ma-siwa did jis mein tu ho faqat
baqi jo kuchh hai sab tamasha hai
parda-dari se kaam kya lije
'shams' hona hi jab tamasha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.