jis ki KHwahish thi chale waqt ki raftar ke sath
jis kī ḳhvāhish thī chale vaqt kī raftār ke saath
aaj vo shaḳhs zamīñ-bos hai dastār ke saath
go munāfiq hai magar phir bhī hasīñ lagtā hai
jab bhī miltā hai vo miltā hai baḌe pyaar ke saath
tū agar ai mire sālār isī meñ ḳhush hai
rehn rakh dete haiñ dastār bhī talvār ke saath
kaisā mausam hai ki har samt nazar aate haiñ
sar samar kī tarah laTke hue ashjār ke saath
jaane kyā baat use ghar se uThā laa.ī hai
ḳhvāb bhī bechtī phirtī hai vo aḳhbār ke saath
ai mire zūd-farāmosh kabhī dekh idhar
kyā guzartī hai yahāñ par tire shah-kār ke saath
dekh letā hai faqat ek nazar jo bhī tujhe
baiTh jaatā hai vo lag kar tirī dīvār ke saath
daad degā mire ash.ār kī lekin pahle
soch ke zāviye parkhegā vo parkār ke saath
'ġhālib'-o-'faiz' se rishta hai vo apnā 'az.har'
jaise ik kuuñj kā rishta ho kisī Daar ke saath
jis ki KHwahish thi chale waqt ki raftar ke sath
aaj wo shaKHs zamin-bos hai dastar ke sath
go munafiq hai magar phir bhi hasin lagta hai
jab bhi milta hai wo milta hai baDe pyar ke sath
tu agar ai mere salar isi mein KHush hai
rehn rakh dete hain dastar bhi talwar ke sath
kaisa mausam hai ki har samt nazar aate hain
sar samar ki tarah laTke hue ashjar ke sath
jaane kya baat use ghar se uTha lai hai
KHwab bhi bechti phirti hai wo aKHbar ke sath
ai mere zud-faramosh kabhi dekh idhar
kya guzarti hai yahan par tere shah-kar ke sath
dekh leta hai faqat ek nazar jo bhi tujhe
baiTh jata hai wo lag kar teri diwar ke sath
dad dega mere ashaar ki lekin pahle
soch ke zawiye parkhega wo parkar ke sath
'ghaalib'-o-'faiz' se rishta hai wo apna 'azhar'
jaise ek kunj ka rishta ho kisi Dar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.