jis ko apna bana liya tu ne
jis ko apnā banā liyā tū ne
us ko sab kuchh atā kiyā tū ne
ai sitamgar ye kyā kiyā tū ne
apnā ghar bhī jalā liyā tū ne
gumrahī meñ paḌe hue the log
manziloñ kā pata diyā tū ne
pīchhe pīchhe jo mere chalte the
un ko aage baḌhā diyā tū ne
pārsā.ī kā jis ko da.avā thā
us ko mai-kash banā diyā tū ne
buġhz-o-nafrat kā ye natīja hai
dostoñ ko bhulā diyā tū ne
har kisī ko haqīr samjhe hai
ḳhud ko kitnā girā diyā tū ne
fikr manzil kī jab huī 'rāhī'
naqsh-e-pā hī miTā diyā tū ne
jis ko apna bana liya tu ne
us ko sab kuchh ata kiya tu ne
ai sitamgar ye kya kiya tu ne
apna ghar bhi jala liya tu ne
gumrahi mein paDe hue the log
manzilon ka pata diya tu ne
pichhe pichhe jo mere chalte the
un ko aage baDha diya tu ne
parsai ka jis ko dawa tha
us ko mai-kash bana diya tu ne
bughz-o-nafrat ka ye natija hai
doston ko bhula diya tu ne
har kisi ko haqir samjhe hai
KHud ko kitna gira diya tu ne
fikr manzil ki jab hui 'rahi'
naqsh-e-pa hi miTa diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.