jis ko batlaya ki ye ghar hai ye aangan hai mera
jis ko batlāyā ki ye ghar hai ye āñgan hai mirā
mujh ko ma.alūm nahīñ thā ki vo dushman hai mirā
mirī kuTiyā hī tujhe shahr meñ achchhī na lagī
maiñ baḌe naaz se kahtā thā ki sāvan hai mirā
mujh ko ḳhairāt na de par mirā kashkol na toḌ
āḳhirī fard huuñ maiñ āḳhirī bartan hai mirā
aaj lauTā do buḌhāpe ne use dekhnā hai
terī dīvār pe rakkhā huā bachpan hai mirā
chand tinke jo sar-e-shāḳh-e-shajar lipTe haiñ
tujh ko ma.alūm hai ai barq nasheman hai mirā
ek lamha bhī zarūrat ne sañbhalne na diyā
kis ke darvāze pe phailā huā dāman hai mirā
kam-sinī qasr ke bachchoñ meñ kahīñ bhuul aaya
ye kisī aur kā khelā huā bachpan hai mirā
jis ko batlaya ki ye ghar hai ye aangan hai mera
mujh ko malum nahin tha ki wo dushman hai mera
meri kuTiya hi tujhe shahr mein achchhi na lagi
main baDe naz se kahta tha ki sawan hai mera
mujh ko KHairaat na de par mera kashkol na toD
aaKHiri fard hun main aaKHiri bartan hai mera
aaj lauTa do buDhape ne use dekhna hai
teri diwar pe rakkha hua bachpan hai mera
chand tinke jo sar-e-shaKH-e-shajar lipTe hain
tujh ko malum hai ai barq nasheman hai mera
ek lamha bhi zarurat ne sanbhalne na diya
kis ke darwaze pe phaila hua daman hai mera
kam-sini qasr ke bachchon mein kahin bhul aaya
ye kisi aur ka khela hua bachpan hai mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.