jis ko bhi dekha tere husn pe mail dekha
jis ko bhī dekhā tire husn pe maa.il dekhā
koī nākām-e-tamannā koī bismil dekhā
jaan parvāne ne dī sham.a pe jal kar jis vaqt
ham ne us vaqt tanaffur se sū-e-dil dekhā
vo na aa.e the shab-e-va.ada magar aanā paḌā
kyā asar laayā mirā jazba-e-kāmil dekhā
ham ne maanā ki hameñ bhuul gayā bhuul gayā
dil ko lekin na tirī yaad se ġhāfil dekhā
laakh tūfān-e-havādis meñ rahī kashti-e-dil
maiñ ne muḌ kar na kabhī jānib-e-sāhil dekhā
umr bhar ishq meñ jaañ koī hai lekin 'jauhar'
juz ġham-e-ishq na kuchh ishq kā hāsil dekhā
jis ko bhi dekha tere husn pe mail dekha
koi nakaam-e-tamanna koi bismil dekha
jaan parwane ne di shama pe jal kar jis waqt
hum ne us waqt tanaffur se su-e-dil dekha
wo na aae the shab-e-wada magar aana paDa
kya asar laya mera jazba-e-kaamil dekha
hum ne mana ki hamein bhul gaya bhul gaya
dil ko lekin na teri yaad se ghafil dekha
lakh tufan-e-hawadis mein rahi kashti-e-dil
main ne muD kar na kabhi jaanib-e-sahil dekha
umr bhar ishq mein jaan koi hai lekin 'jauhar'
juz gham-e-ishq na kuchh ishq ka hasil dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.