jis ko dekho jis ko parkho lagta hai begana sa
jis ko dekho jis ko parkho lagta hai begana sa
Khurshid Khawar Amrohvi
MORE BYKhurshid Khawar Amrohvi
jis ko dekho jis ko parkho lagtā hai begāna sā
maazī ko sab bhuul chuke haiñ maazī hai afsāna sā
nāzuk gardan patlī kamar thī chaal thī us kī matvālī
āñkheñ nargis ko sharmā.eñ mukhḌā ma.asūmāna sā
zulfeñ jaise kaalī ghaTā ho abrū us ke ḳhanjar se
phuul kī pattī lab the us ke qadd-o-qāmat miyāna sā
dandāñ motī kī laḌiyāñ thiiñ ḳhaal thā gaal pe haa.e ġhazab
bāteñ us kī mīThī mīThī lahja thā mastāna sā
sab kuchh to maiñ bhuul chukā huuñ lekin ye kaise bhūlūñ
sham.a kī sūrat vo thā hamdam aur maiñ thā parvāna sā
kaise khileñ ummīd kī kaliyāñ kaise vo rut aa.e phir
kaise phalegā naḳhl-e-tamannā dil ho jab vīrāna sā
kitnī tasvīreñ haiñ kanda dil meñ ki bas allāh allāh
kuchh kuchh ka.aba sā lagtā hai kuchh kuchh hai but-ḳhāna sā
ġhair to ġhair hai avval-o-āḳhir ġhair kā kyā shikva kiije
mujh ko to is soch ne maarā dil kyoñ hai begāna sā
uljhe uljhe us ke gesū chehre par vahshat taarī
aisā lagtā hai ab 'ḳhāvar' jaise ho dīvāna sā
jis ko dekho jis ko parkho lagta hai begana sa
mazi ko sab bhul chuke hain mazi hai afsana sa
nazuk gardan patli kamar thi chaal thi us ki matwali
aankhen nargis ko sharmaen mukhDa masumana sa
zulfen jaise kali ghaTa ho abru us ke KHanjar se
phul ki patti lab the us ke qadd-o-qamat miyana sa
dandan moti ki laDiyan thin KHal tha gal pe hae ghazab
baaten us ki miThi miThi lahja tha mastana sa
sab kuchh to main bhul chuka hun lekin ye kaise bhulun
shama ki surat wo tha hamdam aur main tha parwana sa
kaise khilen ummid ki kaliyan kaise wo rut aae phir
kaise phalega naKHl-e-tamanna dil ho jab virana sa
kitni taswiren hain kanda dil mein ki bas allah allah
kuchh kuchh kaba sa lagta hai kuchh kuchh hai but-KHana sa
ghair to ghair hai awwal-o-aKHir ghair ka kya shikwa kije
mujh ko to is soch ne mara dil kyon hai begana sa
uljhe uljhe us ke gesu chehre par wahshat tari
aisa lagta hai ab 'KHawar' jaise ho diwana sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.