jis ko dekho wo giraftar-e-bala lagta hai
jis ko dekho vo giraftār-e-balā lagtā hai
shahr kā shahr hī āseb-zada lagtā hai
machhliyāñ saarī samundar kī laraz uThtī haiñ
koī tinkā bhī agar tinke se jā lagtā hai
ḳhud ko duniyā se hunar-mand samajhne vaalo
ghar se niklo to haqīqat kā patā lagtā hai
dostī pyaar vafā saath nibhāne kī qasam
har amal us kā banāvaT se bharā lagtā hai
ghar ke māhaul meñ is darja ta'affun hai 'atīq'
saañs lenā bhī yahāñ ab to sazā lagtā hai
jis ko dekho wo giraftar-e-bala lagta hai
shahr ka shahr hi aaseb-zada lagta hai
machhliyan sari samundar ki laraz uThti hain
koi tinka bhi agar tinke se ja lagta hai
KHud ko duniya se hunar-mand samajhne walo
ghar se niklo to haqiqat ka pata lagta hai
dosti pyar wafa sath nibhane ki qasam
har amal us ka banawaT se bhara lagta hai
ghar ke mahaul mein is darja ta'affun hai 'atiq'
sans lena bhi yahan ab to saza lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.