jis ko ho KHud talash kisi saeban ki
jis ko ho ḳhud talāsh kisī sā.ebān kī
dīvār kyā banegā vo girte makān kī
miTTī paḌī huī hai ta.assub kī aañkh meñ
vo qadr kyā karegā hamārī uḌaan kī
dekheñge kis ke dil meñ gulistāñ kā dard hai
ham chāhte haiñ aa.e ghaḌī imtihān kī
us kī nigāh daulat-e-duniyā pe ruk ga.ī
jis ko faqat hai fikr isī ik jahān kī
vo log bhī yahīñ pe zamīñ-bos ho ga.e
jin kī haveliyāñ thiiñ baḌī ān-bān kī
jin kī ināyatoñ se gulistāñ ujaḌ gayā
un par nahīñ nigāh mire pāsbān kī
'muztar' unhīñ ko miltī haiñ manzil kī ne.amateñ
karte nahīñ jo baat safar meñ thakān kī
jis ko ho KHud talash kisi saeban ki
diwar kya banega wo girte makan ki
miTTi paDi hui hai tassub ki aankh mein
wo qadr kya karega hamari uDan ki
dekhenge kis ke dil mein gulistan ka dard hai
hum chahte hain aae ghaDi imtihan ki
us ki nigah daulat-e-duniya pe ruk gai
jis ko faqat hai fikr isi ek jahan ki
wo log bhi yahin pe zamin-bos ho gae
jin ki haweliyan thin baDi aan-ban ki
jin ki inayaton se gulistan ujaD gaya
un par nahin nigah mere pasban ki
'muztar' unhin ko milti hain manzil ki neamaten
karte nahin jo baat safar mein thakan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.