jis ko itna chaha maine jis ko ghazal mein likkha chand
jis ko itna chaha maine jis ko ghazal mein likkha chand
Sabihuddin Shoaiby
MORE BYSabihuddin Shoaiby
jis ko itnā chāhā maiñ ne jis ko ġhazal meñ likkhā chāñd
chhoḌ gayā hai mujh ko kaise aaj vo merā apnā chāñd
apne chāñd kī sochoñ meñ gum baiThā thā tanhā.ī meñ
jaane mere dil ke suune āñgan meñ kab niklā chāñd
chhup jaa.e kabhī sāmne aa.e khele āñkh-micholī kyoñ
merī jaan mujhe lagtā hai bilkul tere jaisā chāñd
dukh ho sukh ho rañj ḳhushī ho mushkil ho yā āsānī
har mausam meñ saath nibhā.e merā yaar purānā chāñd
nafsā-nafsī kā aalam hai sab ko apnī fikr paḌī
apnī dhartī apnā ambar apnā sūraj apnā chāñd
chehroñ se ḳhushiyāñ ojhal haiñ aur ġhamoñ se dil bojhal
ab ke apne des meñ niklā iid pe jaane kaisā chāñd
jis ko itna chaha main ne jis ko ghazal mein likkha chand
chhoD gaya hai mujh ko kaise aaj wo mera apna chand
apne chand ki sochon mein gum baiTha tha tanhai mein
jaane mere dil ke sune aangan mein kab nikla chand
chhup jae kabhi samne aae khele aankh-micholi kyon
meri jaan mujhe lagta hai bilkul tere jaisa chand
dukh ho sukh ho ranj KHushi ho mushkil ho ya aasani
har mausam mein sath nibhae mera yar purana chand
nafsa-nafsi ka aalam hai sab ko apni fikr paDi
apni dharti apna ambar apna suraj apna chand
chehron se KHushiyan ojhal hain aur ghamon se dil bojhal
ab ke apne des mein nikla id pe jaane kaisa chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.