jis ko kahte hain qaza ya maut jis ka nam hai
jis ko kahte hain qaza ya maut jis ka nam hai
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
jis ko kahte haiñ qazā yā maut jis kā naam hai
vāqa.ī vo dā.imī rāhat kā ik paiġhām hai
iltizām-e-chārasāzī ik ḳhayāl-e-ḳhām hai
chāragar mere liye taklīf meñ ārām hai
uf re ye begānagī hamdard ho to kaun ho
ek dil thā vo bhī sarf-e-kasrat-e-ālām hai
arsa-e-rafta pe nazreñ paḌ rahī haiñ vahm kī
ḳhvāb kī tasvīr hai yā zindagī kī shaam hai
apnī hastī kā bhī ab aatā nahīñ mujh ko yaqīñ
al-hazar kaisā junūn-e-shauq kā anjām hai
ye haqīqat hai ki donoñ fitratan ma.asūm haiñ
pāk-dāman husn bhī hai ishq bhī ḳhush-nām hai
dekhte hī ruuh meñ ik kaifiyat sī aa ga.ī
sāqiyā kyā bāda-e-rañgīñ kā pyārā jaam hai
ab to 'fā.iq' aur bhī mushkil se kuchh kaTne lagī
ishq bhī taskīn-e-ḳhātir ke liye nākām hai
jis ko kahte hain qaza ya maut jis ka nam hai
waqai wo daimi rahat ka ek paigham hai
iltizam-e-chaarasazi ek KHayal-e-KHam hai
chaaragar mere liye taklif mein aaram hai
uf re ye beganagi hamdard ho to kaun ho
ek dil tha wo bhi sarf-e-kasrat-e-alam hai
arsa-e-rafta pe nazren paD rahi hain wahm ki
KHwab ki taswir hai ya zindagi ki sham hai
apni hasti ka bhi ab aata nahin mujh ko yaqin
al-hazar kaisa junun-e-shauq ka anjam hai
ye haqiqat hai ki donon fitratan masum hain
pak-daman husn bhi hai ishq bhi KHush-nam hai
dekhte hi ruh mein ek kaifiyat si aa gai
saqiya kya baada-e-rangin ka pyara jam hai
ab to 'faiq' aur bhi mushkil se kuchh kaTne lagi
ishq bhi taskin-e-KHatir ke liye nakaam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.