jis ko sau aasaniyan thin wo bhi kuchh mushkil mein hai
jis ko sau āsāniyāñ thiiñ vo bhī kuchh mushkil meñ hai
maiñ samajhtā huuñ tumhārā dil bhī mere dil meñ hai
jazba-e-dard-e-mohabbat ko musalsal dekh kar
pūchhtā phirtā huuñ duniyā kaun sī manzil meñ hai
zab.h kartā hai mujhe rotā hai mere haal par
merī fitrat bhī ḳhudā rakkhe mire qātil meñ hai
bandagī kā haq batātā huuñ ḳhudāvandī ko maiñ
haath phailāne kā dhabba dāman-e-sā.il meñ hai
yaad kar zālim mire dil kā taḌapnā yaad kar
hairat-e-jalva kā sannāTā tirī mahfil meñ hai
sa.ī-e-hāsil meñ bhī ik lazzat hai do din chaar din
pūchhiye ham se mazā jo sa.i-e-lā-hāsil meñ hai
marhabā zauq-e-asīrī qudrat-e-fikr-o-nazar
dahne baa.eñ jis ko dekhā qaid āb-o-gil meñ hai
ye duā māñgī mire dil meñ na ho kuchh inqalāb
inqilāb-e-dahr shāmil inqalāb-e-dil meñ hai
dūsrī duniyā se kyoñ aa.e payām-e-zindagī
ruuh apnī koshisheñ āzādi-e-kāmil meñ hai
'najm' ye ḳhanda-jabīnī har balā-e-ishq par
kis tabassum kā ḳhazāna mere āb-o-gil meñ hai
jis ko sau aasaniyan thin wo bhi kuchh mushkil mein hai
main samajhta hun tumhaara dil bhi mere dil mein hai
jazba-e-dard-e-mohabbat ko musalsal dekh kar
puchhta phirta hun duniya kaun si manzil mein hai
zabh karta hai mujhe rota hai mere haal par
meri fitrat bhi KHuda rakkhe mere qatil mein hai
bandagi ka haq batata hun KHudawandi ko main
hath phailane ka dhabba daman-e-sail mein hai
yaad kar zalim mere dil ka taDapna yaad kar
hairat-e-jalwa ka sannaTa teri mahfil mein hai
sai-e-hasil mein bhi ek lazzat hai do din chaar din
puchhiye hum se maza jo sai-e-la-hasil mein hai
marhaba zauq-e-asiri qudrat-e-fikr-o-nazar
dahne baen jis ko dekha qaid aab-o-gil mein hai
ye dua mangi mere dil mein na ho kuchh inqalab
inqilab-e-dahr shamil inqalab-e-dil mein hai
dusri duniya se kyon aae payam-e-zindagi
ruh apni koshishen aazadi-e-kaamil mein hai
'najm' ye KHanda-jabini har bala-e-ishq par
kis tabassum ka KHazana mere aab-o-gil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.