jis mein dilkash wafa ka phul nahin
jis meñ dilkash vafā kā phuul nahīñ
aisī chāhat mujhe qubūl nahīñ
tū jise rauñd ke guzar jaa.e
maiñ tirī raah kī vo dhuul nahīñ
kyoñ ho lāhaq mujhe pashemānī
ishq karnā to koī bhuul nahīñ
merī ḳhushiyāñ bhī us ke saath ga.iiñ
kaun kahtā hai maiñ malūl nahīñ
vo mohabbat kā rāsta kab hai
jis meñ patthar nahīñ babūl nahīñ
jaise guzre guzār de is ko
zindagī muḳhtasar hai tuul nahīñ
shā.irī ḳhud chamak uThegī 'sahar'
ḳhud-numā.ī merā usuul nahīñ
jis mein dilkash wafa ka phul nahin
aisi chahat mujhe qubul nahin
tu jise raund ke guzar jae
main teri rah ki wo dhul nahin
kyon ho lahaq mujhe pashemani
ishq karna to koi bhul nahin
meri KHushiyan bhi us ke sath gain
kaun kahta hai main malul nahin
wo mohabbat ka rasta kab hai
jis mein patthar nahin babul nahin
jaise guzre guzar de is ko
zindagi muKHtasar hai tul nahin
shairi KHud chamak uThegi 'sahar'
KHud-numai mera usul nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.